SAHIL pe khari tanha kashti....



Sahil pe khari tanha kashti mujhe apne dil si lagti hai
kabhi dolti hai, kabhi rukti hai !
kuch thaki, dari si dikhti hai ..!!


Sahil pe khari tanha kashti
jab tez hawaon se larti hai ..!!

is shikast o reekht k mousam men
toofaan aa ke ja bhi chuka
kia sannate ki chadar men
koi yaad chupaye rakhti hai ..!!



Sahil pe khari tanha kashti
pe meri nazar youn parti hai..!!

kai din se yahan vo ayey nahi
koi apna nahi paraya nahi
baanhen khole badbaan si
kuch dua si dil men rat'ti hai..!!


Sahil pe khari tanha kashti
behte paani men ruki hui..!!

haalaat k sang jo beh na saki
sar uthaye, kamar hai jhuki hui
aik sunsan se jazeerey pe
weeran si is ki hasti hai....!!

Gham Ko Chupaanay Ki Aadat Si Hai Mujhe....



Gham Ko Chupaanay Ki Aadat Si Hai Mujhe
Khud Ko Sataane Ki Aadat Si Hai Mujhe

Jaan Le Na Koi Haal-E-Dil Is Dar Se
Bewajha Muskurane Ki Aadat Si Hai Mujhe

Youn To Tere Dar Se Namuraad Lauta Hoon
Qismat Ko Aazmaane Ki Aadat Si Hai Mujhe

Mein Jantaa Hoon Ke Too Laut Kar Na Ayegaa
Dil Ko Behlaane Ki Aadat Si Hai Mujhe

Chaand Gham Na Kar Mein Bhi Tera Saathi Hoon
Ke Ratjagae Manane Ki Aadat Si Hai Mujhe

Kabhi To Woh Bhi Sochain Ge Acha Nahi Hua
Khush Fehmian Jagane Ki Aadat Si Hai Mujhe