SAHIL pe khari tanha kashti....



Sahil pe khari tanha kashti mujhe apne dil si lagti hai
kabhi dolti hai, kabhi rukti hai !
kuch thaki, dari si dikhti hai ..!!


Sahil pe khari tanha kashti
jab tez hawaon se larti hai ..!!

is shikast o reekht k mousam men
toofaan aa ke ja bhi chuka
kia sannate ki chadar men
koi yaad chupaye rakhti hai ..!!



Sahil pe khari tanha kashti
pe meri nazar youn parti hai..!!

kai din se yahan vo ayey nahi
koi apna nahi paraya nahi
baanhen khole badbaan si
kuch dua si dil men rat'ti hai..!!


Sahil pe khari tanha kashti
behte paani men ruki hui..!!

haalaat k sang jo beh na saki
sar uthaye, kamar hai jhuki hui
aik sunsan se jazeerey pe
weeran si is ki hasti hai....!!

Gham Ko Chupaanay Ki Aadat Si Hai Mujhe....



Gham Ko Chupaanay Ki Aadat Si Hai Mujhe
Khud Ko Sataane Ki Aadat Si Hai Mujhe

Jaan Le Na Koi Haal-E-Dil Is Dar Se
Bewajha Muskurane Ki Aadat Si Hai Mujhe

Youn To Tere Dar Se Namuraad Lauta Hoon
Qismat Ko Aazmaane Ki Aadat Si Hai Mujhe

Mein Jantaa Hoon Ke Too Laut Kar Na Ayegaa
Dil Ko Behlaane Ki Aadat Si Hai Mujhe

Chaand Gham Na Kar Mein Bhi Tera Saathi Hoon
Ke Ratjagae Manane Ki Aadat Si Hai Mujhe

Kabhi To Woh Bhi Sochain Ge Acha Nahi Hua
Khush Fehmian Jagane Ki Aadat Si Hai Mujhe

Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya.....


Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya Na Jaa Saka,
Usko Bhi Dil Ka Haal Bataya Na Jaa Saka,

Zakhmon Se Choor Choor Tha Ye Dil Mera,
Ek Zakham Bhi Usko Dikhaya Na Jaa Saka,

Jab Teri Yaad Aayi To Koshish Ke Bawajood,
Aankhon Mein Aansuon Ko Chhupaya Na Jaa Saka,

Kuch Log Zindagi Mein Aise Bhi Aaye Hain,
Jinko Kisi Bhi Lamhe Bhulaya Na Jaa Saka,

Bas Is Khayal Se Kahin Usko Dukh Na Ho,
Humse To Haal-E-Gam Bhi Sunaya Na Jaa Saka,

Wo Muskuraya Tha Mere Ru-Ba-Ru Magar
Chehre Ka Rang Usse Chhupaya Na Jaa Saka,

Tanhaiyon Ki Aag Mein Hum Jal Gaye,
Magar Faasla Jo Darmiya Tha Mitaya Na Jaa Saka...

Doobte dil ko koi aarzu-e-.........


Doobte dil ko koi aarzu-e-quwat dede...,
Jism ke sard lahu ko jo haraarat dede....

Koi manzar jo badalde mere atraaf ka rang...,
Dil ko ehsaas,nigaahon ko basaarat dede....

Maangne jaaun to laotaaye na khaali mujhko...,
Zindagi phir mujhe ek saans ki mohallat dede......

Zakhm bharne ka hunar tujhko dikhaaun lekin..,
Tu mujhe chaarah gari ki to ijaaat dede......

Ek naya hosla aamaadah kare chalne par...,
Ek naya mod jo manzil ki bashaarat dede.....

Dasht-e-Jaan me koi aawaaz to goonje KHUDA...,
Dil ko goyayi ataa karde,samaat dede....

SAR UTHAAKE HUME PHIRSE JEENE KA SALEEQA AAJAYE....,
GARDISH-E-WAQT HUME PHIR WAHI AZMAT DEDE........

Koyi aaas paas na raha


            Koyi aaas paas na raha toh khayaal teri taraf gaya
mujhe apna haath bhi choo gaya toh khayaal teri taraf gaya,,

   Koyi aa ke jaise chala gaya, koyi jaa ke jaise gaya nahin
mujhe apna ghar kabhi ghar laga toh khayaal teri taraf gaya,,

 Meri be-kali thi shaguftani, sau bahaar mujhse lipat gayi
kaha veham ne ke yeh kaun hai, toh khayaal teri taraf gaya,,

Mujhe kab kisi ki umang thi, meri apne aap se jang thi
hua jab shikast ka saamna toh khayaal teri taraf gaya.....

Do lines jo Rooh main Utar jaaye..



Hamari kismat to taaro jaisi hai,...log apni khwaish k liye hamare tutne ki fariyad karte hai




Tum ta'alluq torney ka kahein ziker na kerna Faraz...!!
Mein logoun se keh doun ga usey fursat nahi milti...!!




Tume Guman Tha Chaha Bahoot Zamane Ne hume
hum Azeez Sabko The Magar Zaruraton ki tarah...!!





Tuune kahaa na thaa ki main kashtii pe bojh huuN
aaNkhon ko ab na DhaaNp mujhe Duubate bhii dekh....!!





waffa nahi mumkin e Gaalib tere jahan mein,
yahan aadatan bewafai kiye ja rhe hain log......!!






Aye Sanam Teri Mohabbat Ka Suroor Itna Tha Ke ,,,
Hosh Hi Na Raha Ke Ruswaa Ho Rahe The Hum !!





choti-choti baaton ko bhi itna saja kar likhte ho Sahil...aise hi tahreer rahi to bazaari ho jaaoge...................

TANHA sa ho gaya hu mein




TANHA sa ho gaya hu mein sab kuch hote hue...
saari umar guzari hai meine to rote hue.......

Din to kattein rahe mere gamon ke samaaon mein......
raatein kaati hai meine ashko ki baharo mein.....

Ae mere khuda kya taqdeer banayi hai tune meri.......
tamaam umar kategi kya gamon ke andhero mein meri......

kisi ne loota chain mera kisi ne neend ko loota.......
har din guzarta hai mera kuch na kuch khote hue.....

Tanha sa ho gaya hu mein sab kuch hote hue........
saari umar guzari hai meine to rote hue....

ik haseen khwaab hai wo, meri haqeeqat to nahin..

"Phirti hai to phir jae, badalti hai to badle..
duniya ki nazar hai, meri kismat to nahin...

saathi na sahi tanhaii kubool..
khushiya na sahi ruswaii kubool...
meri chahatein hain ye, meri zarurat to nahin...

wo na aae gar saamne, koi baat nahin..
wo na apnae kabhi, koi baat nahin..
ik haseen khwaab hai wo, meri haqeeqat to nahin...

palkon ke beech sapne toot gae to kya??
har mod par apne ch.oot gae to kya???
jo rooth gai, meri zindagi hai wo, meri mohabbat to nahin...


phirti hai to phir jae, badalti hai to badle...
duniya ki nazar hai, meri kismat to nahin..."

Gul Ki Tarha Bikhar Jaaye ....


Gul Ki Tarha Bikhar Jaaye
Shajar Se Aise Utar Jaaye ...

Manzil Door Hai Haath Se
Ab Laut Key Ghar Jaaye ...

Aa Ke Puraani Havelii MeN
YaadeN Tazaa Kar Jaaye ...

Apne Haath Ki Tasveer Woh
Aaj Mujhe De Kar Jaaye ...

Ab Toh Koi Aisi Fizaa Bane
Khwaab Saare Sawar Jaaye ...

Dhoop Ka Musafir Hai "Sahil"
Chaahe Suraj Kidhar Jaaye ...

Dil Ki Hasrat Kaa Paimaanaa ...




Dil Ki Hasrat Kaa Paimaanaa Abhi Baakii Hai
Ae Zindagi Tujhe Aazmaanaa Abhi Baakii Hai,

Sunte HaiN Apne Dil Kii Dhadkan Roz Hum
Uss Ke Dil Ko Dhadkaanaa Abhi Baakii Hai,

Intezaar Main Mere Woh Ab Bhii Wahi Hai
Jis'm Ko Rooh Banaanaa Abhi Baakii Hai,

Rishte Kya Kya Nahi Khate Mujhse Mere
Har Ek Ko Nibhaanaa Abhi Baakii Hai,

Khaab Ki Tarah AaKar BaiThe ParindoN Kaa
Pyaas Ke Saath Udh Jaanaa Abhi Baakii Hai,

Sannaate Bahut Jee Ke Dekh Liye "Sahil"
Sunnaa Waqt Kaa Taraanaa Abhi Baakii Hai....

Dard Kitna Hai........


JaB Kabi pyar karo to maalum ho, ke dard kitna hai…
Wo ek shaqks jo milta b nhi, aur bhulta b nhi, chubta kitna hai….
…..
Raato ki angadaiyo me, ya subaho ki parchaiyo me, sunapan kitna h..
Jb kbi pyar karo to malum ho, k dard kitna h…
….
Baithe baithe nam hojati hai ye ankhe, in ankho me intezar h..
Pura samandar jo tol na paya, un do boondho me, pyar kitna h..
Jb kbi pyar karo to malum ho, ke dard kitna hai…
….
Sham hui h, k suraj dhal gaya..
Jo mile hi nhi kbi, unko khona kaisa h..
Jb kbi pyar karo to maalum ho, ke dard kitna h..
…..
Un purani yado me, ya fir shayaro ki bato me, naam kiska h..
Jb Kabhi pyar karo to maalum ho, ke husn-e-dewaangi me nasha kitna h..
…..
Raato ko jo sone na de, kisi aur ka hone na de, Ayesi mohabbat me, pyar kitna hai..
Jb kbi pyar karo to malum ho k dard kitna hai…
….
Jb Akele kamre me ghanto bithaye rhe, na kuch sujhe uske siwa, na kuch kiya hi jaye, ayesi shaamo me, intezar kitna hai..
Jb kbi pyar karo to maalum ho, k dard kitna hai…
….
Log kehte h waqt guzarte der nhi lagti, par uski yaad me baithe, har pal ke guzarne ka ehsas hai…
Anjane se hi sahi par ehsas to karo.. Jo tere liye ek pal h, wo ek ashiq ke liye, waqt kitna hai..
Jab kbi pyar karo to malum ho, ke dard kitna hai..
Wo jo ek shaqs milta b nhi, aur bhulta b nhi, chubta kitna hai.........

Ik Aas Ka Darya Hai Dil mein

Ik Aas Ka Darya Hai Dil mein,
Ik Jalta Chehra Hai Dil Mein,
Jo Tuta Toh Mehsus Hua,
Ik Dard Bhi Rehta Hai Dil Mein,
Chehre Toh Hazaron Dekhay hain,
Bas Tera Chehra Rehta hai Dil Mein,
Woh Dost Purana hai Mera,
jo Aaj Bhi Rehta Hai Dil Mein,
Ik Aas Hai Tere Anay Ki,
Ik Diya Bhi Jalta Hai Dil Mein,
Koi Aur Kahe Jab Phool Tujhay,
Ik Kanta Sa Chubta Hai Dil Mein....

Phool Mujhe Pasand Nahi....

Phool mujhe pasand nahi, maiN kanton ka diwana huuN
Mai jalne waali aag nahi, jal jaane waala parwana huuN,,

Kwaab mujhe pasand nahi ,mai haqiqat ka aashiyana huuN
MaiN mitne waali hasrat nahi, jeene waala afsana huuN,,

MaiN thamne waala waqt nahi,na chu paane waala kinaara huuN,
Mai rukne waali saaNs nahi, sadaa dil me dhakakne waala sahaara huuN.........

Sahil Aur Neela Paani...

main sahil aur neela pani
tino achay sathi hain

ek din thandi rayt per tanha

dekh k mujh ko lahrain bolien

iss neelay pani k ander

jitnay moti Hn sab chun lo

mann ko khushio say tum bher lo

yeh pagli lahrain kya janain

seep aur moti,sona chandi